Wednesday, August 5, 2009

saat sawaal


doob kar apne mann ki vyakul gehraiyon mein,
jab baitha ek din sochne mein attet ki parchaaiyon mein,
to ye saat sawaal uthe..

panchtantra ki kahaniyon sa tha mera bachpan,
kyu zindagi ab ek rahasyamaya upnayaas si ho gayi hai??

chandd rupaiyon mein poori hone waali choti choti khwaishein thi meri,
kyu ab kabhi na poorey hone waale armaan jaag uthe hain??

dhalte chaand ke girne ka intzaar karti thi kabhi ye aankhein,
kyu chaand ab earth ka ek natural satellite sa lagta hai??

pahadon se hoti hui pagdandiyon ke beech se paathsaala jaana acha lagta tha kabhie,
kyu ab concrete ke ye raaste bhi durgam lagte hain??

shehtoot ke ped par chadkar uspar apna aashiyan banaya karte the,
kyu ab ghar ki diwaarein bhi pinjare si lagti hain??

naye school ke pehle din ke anjaan chehre bhi apne se lagte the,
aur ab aankhein chehre pehchanne mein aksar dhokha kha jaati hain??

kabhie sapnon ki duniya mein khoya sa rehne waala main,
kyo vaastavikta ke aage natmastak sa ho gaya hu???

No comments:

Post a Comment