Wednesday, October 14, 2009

koi raah


rukti hai,chalti hai
mudti hai,dhalti hai
girke fir sambhalti hai
aisi ek raah jaati to hai manjil ki aur..

kuch sapne rakhti hai
kuch armaan jagaati hai
ek pal dil tod de,dusre pal apna banaati hai
aisi ek raah jaati to hai manjil ki aur..

saanjh ke baad andhera
uspe tufaano ka ghera
fir bhi jiney ke naye mainey de jaati hai
aisi ek raah jaati to hai manjil ki aur..

kuch ehsaas jagaati kache pakke se
jaise doraahe ho bichadte se
band galiyon se koi aawaaz lautkar aati to hai
aisi ek raah jaati to hai manjil ki aur..

dhoop ke gam sang chaanv ka sukoon
intzaar ki dhool se roshan mera rang
ae mann teri icchaon ka na koi choor..
aisi ek raah jaati to hai manjil ki aur..

Friday, October 2, 2009

ek talaash


aaino ke ghar mein khud ko talaashta hu main,
yatharth ki duniya mein ek khwaab ke peeche bhaagta hu main.

bhatakta hu bheed mein besabab sa,
anjaan har chehre mein usse hi taakta hu main.

dil mere ye kaisa junoon diya hai tuney,
har ander aati saans mein usko bhaapta hu main.

dikh jaaye kisi raat chaand mein uski surat,
iss umeed mein roz khidki se jhaakta hu main.

aa na jaaye uske sapne ke baad kisi aur ka sapna,
isliye bhaari palkein leker saari raat jaagta hu main.