Friday, November 6, 2009

kuch ehsaas

bhaavnaon ke samander mein ye kon hilorey leta hai,
saahilon ke ret pe ye kon dastak deta hai.
kaali amaavas mein ye kiski roshni chaandani si hai,
khamosh raat mein ye kiske kadmon ki aahat daamini si hai.
keetab mein ye kiski yaad sukhe phool si hai,
mol bhaav ke maahol mein ye kiski har shart kubool si hai.

ye kiski palkon pe adaa ke dhaare hain,
ye kon hai jiski maasoom muskaan mein bhed bahot saare hain.
ye kiska wajood mujhe mere hone ka ehsaas dilaata hai,
ye kis jyot ki lau mein mera mann pinghalta jaata hai..

Sunday, November 1, 2009

kahin door..

bhavron ka baazaar laga hai,
jharney hai itraate,
maasoom sangeet liye adhron pe
behte paani ki chaapein.
rangon ki nayi paribhasha ghadtey
anchuve phoolon ki bahaar,
barf se nahaaye saveat parvaton pe
komal kirnon ka shringaar.
devdaar ke pedon pe
basant ki pehli koplein,
neel gagan ko chootey
udtey parindon ke hosley.
behti baavri hawa ye kahan ka pataa puchti,
milke baadlon se firey waadion ko chumti.
hain kisne rachi parilok ki ye tasvirein,
ubad khaabad pahadon se guzarti pagdandiyon ki lakirein.
uff! apne sapnon ka peecha karte karte..
ye kahan aa gaya main...