Tuesday, September 29, 2009

desh mere


ae hind aaj bhi teri aabo hawaa itni khushgavaar kyo hai?
girte padte darakhton ke beech bhi tu itna sadabahaar kyo hai?

wafaadaari ke kissey mit te ja rahe hain teri sarjamee se,
fir bhi teri jamii aabaadi ki sarfaraaz kyo hai?

kai saltanaton ki hukumat ne aazmaaya hai tujhe,
fir naye ajnabiyon ki niyat pe tujhe itna aitbaar kyo hai?

dharmon ki aakramakta teri godd mein sitaltaa paati hai,
aakhir teri mamta ka bhandaar itna aprampaar kyo hai?

paschim se aati roshni se chundhiya gayi hain tere baashindo ki nigaahein,
fir aaj bhi tere rivaazon ki mithaas itni mahakdaar kyo hai?

chand khudgarzi ke putlon ne khinch di hain lakeerein tere badan pe,
aakhir aise logon ke haath mein teri patvaar kyo hai?

jod rakha hai paawan pawan ki bediyon ne tujhe meri saanson se,
varna imaanon ke badalne ki yahan misaal bahot hain.

Sunday, September 27, 2009

mann mere


mijaaz-e-dil ka pata lagaane mein ek umar guzar gayi
par haalaaton ki dhund k paar dekh paane ka tarika na aaya..
aa gaya oss ki bundon se pyass bujhana
par mann mein lagi aag bujhana na aaya..
ek diye ki roshni andheron ke saaye se kab tak ladti
mujhe chaand ki dhalti kaaya sang badalna na aaya..
kya karte manjil thodi unchi thi gar
rakhkar kisi k kandhon par pair mujhe aage badhna na aaya..
kisi kaagaz ke tukde par likhe ankon se insaan ko naapta ye yug
apekshaon ki iss duniya ka ye maahol mujhe raaz na aaya..

Friday, September 18, 2009

do baat..


ek dil,ek dhadkan,ek baichaini
ek raat,ek haalaat,ek kahaani
ek mod,ek kaarvaan,ek tanhai
ek kalam,ek panna,ek shayari
ek hawaa,ek khushboo,ek parda
ek silsila,ek umeed,ek aasmaan
ek pal,ek hausla,ek jindagi
ek bachpan,ek chaahat,ek javaani
ek saavan,ek baadal,ek baarish
ek samundar,ek pyaas,ek kasti
ek jadoo,ek karishma,ek kismat
ek saath,ek darr,ek himmat
ek aanchal,ek mamta,ek apna
ek neend,ek daastan,ek sapna
ek hosh,ek pagalpan,ek khumaari
ek andhera,ek bebasi,ek laachaari
ek khushi,ek manjar,ek samaa
ek aag,ek parvaana,ek shamaa
ek safar,ek rasta,ek manjil
ek raahi,ek saath,ek saahil
ek rang,ek lakeer,ek naseeb
ek jindagi,ek mauka,ek raqeeb
ek aaina,ek roshni,ek parchai
ek khuda,ek mannat,ek khudai
itna kuch hai mere paas..
...aakhir itni tanha to nahi hai meri jindagi.