bhaavnaon ke samander mein ye kon hilorey leta hai,saahilon ke ret pe ye kon dastak deta hai.
kaali amaavas mein ye kiski roshni chaandani si hai,
khamosh raat mein ye kiske kadmon ki aahat daamini si hai.
keetab mein ye kiski yaad sukhe phool si hai,
mol bhaav ke maahol mein ye kiski har shart kubool si hai.
ye kiski palkon pe adaa ke dhaare hain,
ye kon hai jiski maasoom muskaan mein bhed bahot saare hain.
ye kiska wajood mujhe mere hone ka ehsaas dilaata hai,
ye kis jyot ki lau mein mera mann pinghalta jaata hai..
No comments:
Post a Comment