Monday, August 3, 2009

hazaaron khwaishein aisi...


sapnon ko armaanon ke pankh lagaane se pehle,
kaash ham jaan lete gam ka aalam
muskurane se pehle..

khushyion ki bela mein iss kadar beh nikle ham,
ke gehrai ka andaaza hi na lagaa beech majhdhaar mein
jaane se pehle..

wo to aksar samjhaate the hamein mat chalo iss pathrili raah par,
ke kaante chubh jaate hain yahan paav zamin par
aane se pehle..

lekin kya karte unko paane ki zustzoo hi itni hasin thi,
ke ek pal ko to maut ko bhi darwaaje par rok dete
ander kadam badhane se pehle..

uss chaand ki parchai ko kaed kar lena chahte the ham,
par mera aaina hi bewafaa nikla,tut gaya kambhakhat
purnima ke aane se pehle..

aisa nahi ki unhe kadrr nahi hai hamari chahat ki,
wo to jaan bhi dedein
hamare ek issare se pehle..

par sapnon ki ye duniya haqiqat ki duniya se bahot alag hai,
band aankhon ke sapne tod deti hai duniya yahan
neend ke khul jaane se pehle...

1 comment: