teri yaadon ke aangan se nikalta,bachta,bhaagta sa,
kyu ek mod pe aake tham sa jaata hu main..
ummedon ke kchatij ka koi antt nahi,
kyu apne aap ko har pal ye samjhata hu main..
duniya ki matlabi si kasauti par tera mera vajan ek sa nahi,
fir kyo iss taraaju ko baraabri par dekhna chahta hu main..
na barasne waale in baadalon mein mujhe teri bebasi si nazar aati hai,
fir kyo inke barasne ke intzaar mein apni aankhein sujaata hu main..
ye hawaa aur ye patang mujhe tere chanchal mann si lagti hai,
kyu har pal disha badalti in hawaaon sang behta jaata hu main..
ghar ki peechli deewar par chadhti bel mujhe meri aakanshaon ki yaad dilaati hai,
kyu in aakanshaon ko roz sichta jaata hu main..
sadak ke beech gaddhon mein kaed paani mujhe meri hadein batata hai,
kyu ek halki si baarish hote hi apni hadein tod jaata hu main..
dhalte suraj ki laalima tere honton se rang udhaar maangti si prateet hoti hai,
kyu issi rang se apne sapnon ka indradhanush sajaata hu main..
ye mandir ki ghantiyan,ye ghadi ki tik tik tere dil ke dhadakne ka ehsaas dilaati hain,
bas issi ek ehsaas k sahaare mar mar ke fir jee jaata hu main...

No comments:
Post a Comment